Mark Auto Screenshot deleter for Android
Agar aapke bhi phone me bahut saare screen shot ikatthe ho jate hai jinka koi kaam nhi hota to ab aap apne phone ke screenshot ko automatic delete kar sakte hai es application ki madat se aur aap choose kar sakte hai ki kaunsa screenshot aapke phone me rahna chahiye aur kaunsa delete ho jana chahiye es application me aap time bhi set kar sakte hai jitna bhi time aap set kardenge utne time baad secreenshot automatic delete ho jayega.
Application bilkul simple hai koi bhi use kar sakte hai application ko dwonload karne ke baad open karna hai aur sabhi permissions allow kar deni hai uske baad ScreenShot Delete Time set kar dena hai jitna bhi time aap set kardenge utne time baad screenshot apne aap delete ho jayega uske baad aapko Auto Clear Notification wale option ko bhi enable kar dena hai uske baad apko kuch nhi karna.
Uske baad jabbhi aap screenshot capture karenge apko uper ek notification aayega Yes karne ka agar aap Yes par click kar denge to jitna bhi time set kiya hoga aapne utne time baad screenshot automatic delete ho jayega agar yes par nhi click karenge to wo screenshot delete nhi hoga aise me jo screenshot aap delete karna chahte hai usko yes kardena aur jo nhi karna usper click mat karna es tarike se ye application kaam karti hai.
Be the first to comment on "Mark Auto Screenshot deleter for Android"